makān hī na banā.e ga.e zamīñ kam thī
shajar havā meñ ugaa.e ga.e zamīñ kam thī
maiñ us jagah huuñ jahāñ se palaT ke sūraj meñ
panāh DhūñDne saa.e ga.e zamīñ kam thī
bashar muqīm the qabroñ meñ aur na.e murde
samundaroñ meñ bahā.e ga.e zamīñ kam thī
hameñ bhī lauT hī jaanā hai ham se pahle bhī
sab āsmāñ pe uThā.e ga.e zamīñ kam thī
tamām umr kaTī ik jagah khaḌe rah kar
kabhī na ham kahīñ aa.e ga.e zamīñ kam thī
ye kā.enāt-e-safar thā so raat paḌte hī
ham āsmān sarā.e ga.e zamīñ kam thī
buzurg āb-e-baqā pī chuke the aur bachche
vajūd hī meñ na laa.e ga.e zamīñ kam thī
ḳhudā ne ādam-o-havvā ko kar diyā paidā
phir aadmī na banā.e ga.e zamīñ kam thī
ham apne aap ko 'ākāsh' ghar samajhte rahe
hamesha ḳhud hī meñ paa.e ga.e zamīñ kam thī
makan hi na banae gae zamin kam thi
shajar hawa mein ugae gae zamin kam thi
main us jagah hun jahan se palaT ke suraj mein
panah DhunDne sae gae zamin kam thi
bashar muqim the qabron mein aur nae murde
samundaron mein bahae gae zamin kam thi
hamein bhi lauT hi jaana hai hum se pahle bhi
sab aasman pe uThae gae zamin kam thi
tamam umr kaTi ek jagah khaDe rah kar
kabhi na hum kahin aae gae zamin kam thi
ye kaenat-e-safar tha so raat paDte hi
hum aasman sarae gae zamin kam thi
buzurg aab-e-baqa pi chuke the aur bachche
wajud hi mein na lae gae zamin kam thi
KHuda ne aadam-o-hawwa ko kar diya paida
phir aadmi na banae gae zamin kam thi
hum apne aap ko 'akash' ghar samajhte rahe
hamesha KHud hi mein pae gae zamin kam thi
Source:
Leave a comment