yahāñ har shaḳhs apne ghar se kam bāhar nikaltā hai
badan kho baiThne ke Dar se kam bāhar nikaltā hai
koī saudā mire sar meñ samātā hī nahīñ lekin
samā jaa.e to phir vo sar se kam bāhar nikaltā hai
jahāñ sūraj baras meñ ek yā do din chamaktā ho
vahāñ saaya kisī paikar se kam bāhar nikaltā hai
zamīneñ Duub jaanā chāhtī haiñ pyaas aisī hai
magar sailāb hī sāgar se kam bāhar nikaltā hai
vo jis haivān ko patthar ke andar rizq miltā ho
vo patthar kā hai aur patthar se kam bāhar nikaltā hai
na jaane kitnī āvāzeñ bulātī haiñ use lekin
ye sannāTā mire andar se kam bāhar nikaltā hai
abhī ākāsh kā rishta nahīñ TuuTā zamīnoñ se
magar vo abr kī chādar se kam bāhar nikaltā hai
yahan har shaKHs apne ghar se kam bahar nikalta hai
badan kho baiThne ke Dar se kam bahar nikalta hai
koi sauda mere sar mein samata hi nahin lekin
sama jae to phir wo sar se kam bahar nikalta hai
jahan suraj baras mein ek ya do din chamakta ho
wahan saya kisi paikar se kam bahar nikalta hai
zaminen Dub jaana chahti hain pyas aisi hai
magar sailab hi sagar se kam bahar nikalta hai
wo jis haiwan ko patthar ke andar rizq milta ho
wo patthar ka hai aur patthar se kam bahar nikalta hai
na jaane kitni aawazen bulati hain use lekin
ye sannaTa mere andar se kam bahar nikalta hai
abhi aakash ka rishta nahin TuTa zaminon se
magar wo abr ki chadar se kam bahar nikalta hai
Source:
Leave a comment