Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Akash

  • Ghazal


mujhe jab maut ne boya zamin mein


mujhe jab maut ne boyā zamīñ meñ
maiñ phir ugne ko jā soyā zamīñ meñ

ḳhirām is husn vaale kā hai aisā
gaḌe haiñ aadmī goyā zamīñ meñ

mirā nām-o-nishān niklā zamīñ se
mirā nām-o-nishāñ khoyā zamīñ meñ

guzar-auqāt karnā hai yahīñ par
zamīñ par vaqt kaaTo yā zamīñ meñ

mujhe jab maut ne boya zamin mein
main phir ugne ko ja soya zamin mein

KHiram is husn wale ka hai aisa
gaDe hain aadmi goya zamin mein

mera nam-o-nishan nikla zamin se
mera nam-o-nishan khoya zamin mein

guzar-auqat karna hai yahin par
zamin par waqt kaTo ya zamin mein


Source:

Leave a comment

+