Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iman Qaisrani

  • Ghazal


is qadar hawadis hain rasta nahin milta


is qadar havādis haiñ rāsta nahīñ miltā
zindagī ke misroñ kā qāfiya nahīñ miltā

tere bin palaT jā.ūñ ye bhī ab nahīñ mumkin
aur aage baḌhne kā hausla nahīñ miltā

aap apnī sūrat ko ḳhud pe āshkārā kar
shahr kī fasīloñ par aa.ina nahīñ miltā

be-charāġh rastoñ par be-shumār jugnū the
phir bhī ek bulbul ko ghoñsla nahīñ miltā

log milte rahte haiñ aaj bhī tire jaise
tujh sā par kahīñ koī bā-ḳhudā nahīñ miltā

kaisā daur aayā hai ham siyāh-baḳhtoñ ne
sabr kar ke dekhā hai kuchh sila nahīñ miltā

muntazir nigāhoñ se aan baiThe chaukhaT par
mere haq meñ us dar se faisla nahīñ miltā

maiñ to aise logoñ se duur hī bhale jānāñ
jin se merī sochoñ kā zāviya nahīñ miltā

ham sī fāḳhtāoñ kā tum se jañgjūoñ se
aaj bhī to kal jaisā nazriya nahīñ miltā

munsifī kī qīmat hī dastaras se bāhar thī
is liye faqīroñ ko faisla nahīñ miltā

roz be-murād īmāñ ham to lauT aate haiñ
tum se baat karne ko taḳhliya nahīñ miltā

is qadar hawadis hain rasta nahin milta
zindagi ke misron ka qafiya nahin milta

tere bin palaT jaun ye bhi ab nahin mumkin
aur aage baDhne ka hausla nahin milta

aap apni surat ko KHud pe aashkara kar
shahr ki fasilon par aaina nahin milta

be-charagh raston par be-shumar jugnu the
phir bhi ek bulbul ko ghonsla nahin milta

log milte rahte hain aaj bhi tere jaise
tujh sa par kahin koi ba-KHuda nahin milta

kaisa daur aaya hai hum siyah-baKHton ne
sabr kar ke dekha hai kuchh sila nahin milta

muntazir nigahon se aan baiThe chaukhaT par
mere haq mein us dar se faisla nahin milta

main to aise logon se dur hi bhale jaanan
jin se meri sochon ka zawiya nahin milta

hum si faKHtaon ka tum se jangjuon se
aaj bhi to kal jaisa nazriya nahin milta

munsifi ki qimat hi dastaras se bahar thi
is liye faqiron ko faisla nahin milta

roz be-murad iman hum to lauT aate hain
tum se baat karne ko taKHliya nahin milta


Leave a comment

+