Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


mujhko ab saqi-e-gulfam se kuchh kaam nahin


mujh ko ab sāqī-e-gulfām se kuchh kaam nahīñ
mai se kuchh kaam nahīñ jaam se kuchh kaam nahīñ

dil meñ ḳhush aa.ī haiñ sahrā kī babūleñ pur-ḳhār
ab kisī sarv-e-gul-andām se kuchh kaam nahīñ

apne ārām se huuñ dasht-e-junūñ meñ tanhā
kisī mahbūb-e-dil-ārām se kuchh kaam nahīñ

ḳhāna-barbād huuñ sahrā meñ bagūloñ kī tarah
saqf-o-dīvār-o-dar-o-bām se kuchh kaam nahīñ

tā.ir-e-rūh-e-ramīda kī tarah chhūTā huuñ
ab to sayyād tire daam se kuchh kaam nahīñ

tab-e-raushan ko nahīñ ḳhauf siyah-rozī kā
sub.h-e-mahshar huuñ mujhe shaam se kuchh kaam nahīñ

itnī muddat se huuñ ġhurbat meñ vatan bhuul gayā
mujh ko ab nāma-o-paiġhām se kuchh kaam nahīñ

hai firāq-e-but-e-ḳhud-kām meñ 'nāsiḳh' kā kalām
huuñ maiñ nākām mujhe kaam se kuchh kaam nahīñ

mujh ko ab saqi-e-gulfam se kuchh kaam nahin
mai se kuchh kaam nahin jam se kuchh kaam nahin

dil mein KHush aai hain sahra ki babulen pur-KHar
ab kisi sarw-e-gul-andam se kuchh kaam nahin

apne aaram se hun dasht-e-junun mein tanha
kisi mahbub-e-dil-aram se kuchh kaam nahin

KHana-barbaad hun sahra mein bagulon ki tarah
saqf-o-diwar-o-dar-o-baam se kuchh kaam nahin

tair-e-ruh-e-ramida ki tarah chhuTa hun
ab to sayyaad tere dam se kuchh kaam nahin

tab-e-raushan ko nahin KHauf siyah-rozi ka
subh-e-mahshar hun mujhe sham se kuchh kaam nahin

itni muddat se hun ghurbat mein watan bhul gaya
mujh ko ab nama-o-paigham se kuchh kaam nahin

hai firaq-e-but-e-KHud-kaam mein 'nasiKH' ka kalam
hun main nakaam mujhe kaam se kuchh kaam nahin


Leave a comment

+