Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


sab ki sab kya hain shab-e-qadr hamari raaten


sab kī sab kyā haiñ shab-e-qadr hamārī rāteñ
kaTtī haiñ āñkhoñ hī meñ hijr kī saarī rāteñ

haa.e kyā pyaar se sote the lipaT kar ai jaan
yaad har dam mujhe aatī haiñ vo pyārī rāteñ

donoñ zulfoñ meñ haiñ ḳhurshed se tābāñ aariz
roz-e-raushan ke barābar haiñ tumhārī rāteñ

jo ghaḌī hai nazar aatī hai mujhe ek pahāḌ
haiñ ġhazab furqat-e-mahbūb kī bhārī rāteñ

hijr meñ sub.h se tā-shām bajā.e shabnam
merī āñkhoñ se lahū rakhtī haiñ jaarī rāteñ

sun paḌe rahte haiñ be-yār añdhere meñ ham
haiñ shab-e-gor ke mānind hamārī rāteñ

shab-e-tārīk judā.ī meñ ye chillātā huuñ
diq bahut kartī haiñ yā-hazrat-e-bārī rāteñ

terī zulfoñ ke liye shāna-ba-kaf hai har din
aur kartī haiñ tirī ā.īna-dārī rāteñ

fasl-e-gul meñ vo gul-e-tar nahīñ gul kar de charāġh
ki siyah chāhiyeñ ai bād-e-bahārī rāteñ

murġh-e-zarrīn-e-falak par hai yaqīn-e-ḳhuffāsh
kis qadar mere dinoñ meñ huiiñ saarī rāteñ

din ke badle bhī yahī aatī haiñ ġham-ḳhvārī ko
mujh se rakhtī haiñ bahut hijr meñ yaarī rāteñ

din to 'nāsiḳh' ke ba-har-hāl guzar jaate haiñ
par judā.ī meñ bahut laatī haiñ ḳhvārī bāteñ

sab ki sab kya hain shab-e-qadr hamari raaten
kaTti hain aankhon hi mein hijr ki sari raaten

hae kya pyar se sote the lipaT kar ai jaan
yaad har dam mujhe aati hain wo pyari raaten

donon zulfon mein hain KHurshed se taban aariz
roz-e-raushan ke barabar hain tumhaari raaten

jo ghaDi hai nazar aati hai mujhe ek pahaD
hain ghazab furqat-e-mahbub ki bhaari raaten

hijr mein subh se ta-sham bajae shabnam
meri aankhon se lahu rakhti hain jari raaten

sun paDe rahte hain be-yar andhere mein hum
hain shab-e-gor ke manind hamari raaten

shab-e-tarik judai mein ye chillata hun
diq bahut karti hain ya-hazrat-e-bari raaten

teri zulfon ke liye shana-ba-kaf hai har din
aur karti hain teri aaina-dari raaten

fasl-e-gul mein wo gul-e-tar nahin gul kar de charagh
ki siyah chahiyen ai baad-e-bahaari raaten

murgh-e-zarrin-e-falak par hai yaqin-e-KHuffash
kis qadar mere dinon mein huin sari raaten

din ke badle bhi yahi aati hain gham-KHwari ko
mujh se rakhti hain bahut hijr mein yari raaten

din to 'nasiKH' ke ba-har-haal guzar jate hain
par judai mein bahut lati hain KHwari baaten


Leave a comment

+