apne abrū aa.ine meñ dekh kar bismil huā
khīñch kar talvār apnā aap vo qātil huā
bhaag kar kab tujh se jāñ-bar koī ai qātil huā
uḌ chalā gar hosh apnā tā.ir-e-bismil huā
ab kahāñ naale ki us lailā kā maskan dil huā
thā jaras jo pesh-e-azīñ vo in dinoñ mahmil huā
nām-e-nek ahal-e-hukūmat ko kahāñ hāsil huā
ḳhalq meñ mash.hūr ik nau-shervāñ aadil huā
sar se pā tak har sanobar hī faqat kyā dil huā
dekh kar us sarv-qad ko sarv bhī maa.il huā
is adā se baaḌh dekhī aap ne talvār kī
tā.ir-e-rañg-e-hinā bhī tā.ir-e-bismil huā
dhyān us ke band karne kā agar aatā tujhe
kyuuñ na terā raḳhna-e-dar merā chāk-e-dil huā
hai ye ġham jāñ-kāh ḳhāl-e-abrū-e-ḳhamdār kā
ka.abe meñ kāhīda ho kar sañg-e-asvad dil huā
jo yahāñ maġhlūb hai uqbā meñ ġhālib hai vahī
markab-e-maqtūl hai ik roz jo qātil huā
dho.e haiñ dhobī ne dariyā meñ jo kapḌe yaar ke
aaj kosoñ tak mo.attar dāman-e-sāhil huā
dilbarī kā jab huā us sarv-qāmat ko ḳhayāl
uzv uzv apnā vahīñ misl-e-sanobar dil huā
sab ke ḳhāliq ne banā.e kāsa-e-sar vāzhgūñ
aadmī is par bhī pesh-e-ādmī saa.il huā
bujh gayā merā charāġh-e-dāġh vasl-e-yār meñ
nūr-e-mah nazdīkī-e-ḳhurshed se zaa.il huā
jo parī-rū baiThtā hai aa ke uTh saktā nahīñ
ab to naqsh-e-boriyā kā ḳhuub maiñ aamil huā
jazb-e-jinsiyyat baham rahne nahīñ detā firāq
kal banā jo jism-e-ḳhākī aaj gil-dar-gil huā
haa.e kis qātil-adā se kī shurūa us ne namāz
niklī jab takbīr us ke muñh se maiñ bismil huā
kahte haiñ zāhid mirī dīvāngī ko dekh kar
but-parastī ke sabab qahr-e-ḳhudā nāzil huā
jab tasavvur yaar kā bāñdhā ham aap aa.e nazar
sāmne āñkhoñ ke ā.īna hamārā dil huā
āshiq-e-be-nañg se hotā hai māshūqoñ ko nañg
pairahan majnūñ kā phaT kar parda-e-mahmil huā
sāmne mere rahā gar shaam se le tā-sahar
husn meñ gar misl-e-māh-e-chārdah kāmil huā
rūh-e-'nāsiḳh' hai usī kī rūh-e-aqdas par nisār
bārhā jis ke liye rūhul-qudus nāzil huā
apne abru aaine mein dekh kar bismil hua
khinch kar talwar apna aap wo qatil hua
bhag kar kab tujh se jaan-bar koi ai qatil hua
uD chala gar hosh apna tair-e-bismil hua
ab kahan nale ki us laila ka maskan dil hua
tha jaras jo pesh-e-azin wo in dinon mahmil hua
nam-e-nek ahal-e-hukumat ko kahan hasil hua
KHalq mein mashhur ek nau-sherwan aadil hua
sar se pa tak har sanobar hi faqat kya dil hua
dekh kar us sarw-qad ko sarw bhi mail hua
is ada se baDh dekhi aap ne talwar ki
tair-e-rang-e-hina bhi tair-e-bismil hua
dhyan us ke band karne ka agar aata tujhe
kyun na tera raKHna-e-dar mera chaak-e-dil hua
hai ye gham jaan-kah KHal-e-abru-e-KHamdar ka
kabe mein kahida ho kar sang-e-aswad dil hua
jo yahan maghlub hai uqba mein ghaalib hai wahi
markab-e-maqtul hai ek roz jo qatil hua
dhoe hain dhobi ne dariya mein jo kapDe yar ke
aaj koson tak moattar daman-e-sahil hua
dilbari ka jab hua us sarw-qamat ko KHayal
uzw uzw apna wahin misl-e-sanobar dil hua
sab ke KHaliq ne banae kasa-e-sar wazhgun
aadmi is par bhi pesh-e-admi sail hua
bujh gaya mera charagh-e-dagh wasl-e-yar mein
nur-e-mah nazdiki-e-KHurshed se zail hua
jo pari-ru baiThta hai aa ke uTh sakta nahin
ab to naqsh-e-boriya ka KHub main aamil hua
jazb-e-jinsiyyat baham rahne nahin deta firaq
kal bana jo jism-e-KHaki aaj gil-dar-gil hua
hae kis qatil-ada se ki shurua us ne namaz
nikli jab takbir us ke munh se main bismil hua
kahte hain zahid meri diwangi ko dekh kar
but-parasti ke sabab qahr-e-KHuda nazil hua
jab tasawwur yar ka bandha hum aap aae nazar
samne aankhon ke aaina hamara dil hua
aashiq-e-be-nang se hota hai mashuqon ko nang
pairahan majnun ka phaT kar parda-e-mahmil hua
samne mere raha gar sham se le ta-sahar
husn mein gar misl-e-mah-e-chaardah kaamil hua
ruh-e-'nasiKH' hai usi ki ruh-e-aqdas par nisar
barha jis ke liye ruhul-qudus nazil hua
Leave a comment