Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


hue rone se mere dida-e-bedar safed


hue rone se mire dīda-e-bedār safed
balki ashkoñ ne kiyā rañg-e-shab-e-tār safed

āñkheñ ḳhush-chashmoñ kī tujh par huiiñ ai yaar safed
jis tarah zo.af se ho chehra-e-bīmār safed

ho gayā zo.af se merā badan-e-zār safed
nazar aatā hai sanam sūrat-e-zunnār safed

hai faqat ālam-e-bālā se madad mastoñ kī
kaun juz maah kare ḳhāna-e-ḳhummār safed

gul-ezāroñ kī jo mahfil meñ gayā vo gul-e-tar
ho ga.e zard jo do-chār to do-chār safed

tū vo yūsuf hai ki ab muntazarī meñ ai jaan
misl-e-yāqūb huī chashm-e-ḳharīdār safed

dūd-e-dāġh-e-sar-e-saudā-zada kartā hai siyāh
ai junūñ ham kabhī rakhte haiñ jo dastār safed

raushan ai maah kiyā tū ne siyah-ḳhāna mirā
tere jalve se hue haiñ dar-o-dīvār safed

vaah kyā rañg-e-hinā hai ki tirī chuTkī se
surḳh ho jaa.e agar ho lab-e-sofār safed

shāyad un ko nahīñ andar kī siyāhī kī ḳhabar
kar rahe haiñ jo mirī qabr ko me.amār safed

uḌ gayā rañg-e-shaqā.iq tire aage jis dam
log samjhe ki huā barf se kohsār safed

nuqra.ī puThThe kā Daalā nahīñ tū ne mūbāf
hai siyah saarā badan aur dum-e-mār safed

vasf likkhe jo tire gore badan ke maiñ ne
ho ga.ī zāġh-e-qalam kī vahīñ minqār safed

sham-e-kāfūr se tashbīh bhalā duuñ kyuuñ kar
hai ba-rañg-e-mah-e-tābāñ badan-e-yār safed

ba.ad ik umr ke 'nāsiḳh' kī jo ab aamad hai
lucknow ke hue sab kūcha-o-bāzār safed

hue rone se mere dida-e-bedar safed
balki ashkon ne kiya rang-e-shab-e-tar safed

aankhen KHush-chashmon ki tujh par huin ai yar safed
jis tarah zoaf se ho chehra-e-bimar safed

ho gaya zoaf se mera badan-e-zar safed
nazar aata hai sanam surat-e-zunnar safed

hai faqat aalam-e-baala se madad maston ki
kaun juz mah kare KHana-e-KHummar safed

gul-ezaron ki jo mahfil mein gaya wo gul-e-tar
ho gae zard jo do-chaar to do-chaar safed

tu wo yusuf hai ki ab muntazari mein ai jaan
misl-e-yaqub hui chashm-e-KHaridar safed

dud-e-dagh-e-sar-e-sauda-zada karta hai siyah
ai junun hum kabhi rakhte hain jo dastar safed

raushan ai mah kiya tu ne siyah-KHana mera
tere jalwe se hue hain dar-o-diwar safed

wah kya rang-e-hina hai ki teri chuTki se
surKH ho jae agar ho lab-e-sofar safed

shayad un ko nahin andar ki siyahi ki KHabar
kar rahe hain jo meri qabr ko meamar safed

uD gaya rang-e-shaqaiq tere aage jis dam
log samjhe ki hua barf se kohsar safed

nuqrai puThThe ka Dala nahin tu ne mubaf
hai siyah sara badan aur dum-e-mar safed

wasf likkhe jo tere gore badan ke main ne
ho gai zagh-e-qalam ki wahin minqar safed

sham-e-kafur se tashbih bhala dun kyun kar
hai ba-rang-e-mah-e-taban badan-e-yar safed

baad ek umr ke 'nasiKH' ki jo ab aamad hai
lucknow ke hue sab kucha-o-bazar safed


Leave a comment

+