Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


yun mujhe aap se ab karti hai taqdir juda


yuuñ mujhe aap se ab kartī hai taqdīr judā
jis tarah jañg meñ ho qabze se shamshīr judā

mas ke zar hone se behtar hai kamāl-e-insāñ
ḳhāksārī hai judā aur hai iksīr judā

jā-e-dandāñ lab-e-sofār hue ai qātil
dahan-e-zaḳhm se hogā na tirā tiir judā

maraz-e-ishq meñ piiTh apnī ye bistar se lagī
na kabhī saf.ha se jis shakl ho tasvīr judā

ai junūñ paañv haiñ jab tak ye tamannā hai mujhe
kabhī mānind ragoñ ke na ho zanjīr judā

chhoḌūñ kyā piirī meñ shīrīñ-dahanoñ kī sohbat
nahīñ mumkin ki hoñ mil kar shakar-o-shīr judā

kahte haiñ dekh ke zulf us ke ruḳh-e-tābāñ par
kabhī hotā nahīñ us sham.a se gul-gīr judā

jab judā.ī ke mazāmīn mujhe sūjhe haiñ
harf se harf huā hai dam-e-tahrīr judā

kyuuñ na ho jalva-e-ḳhurshed se saa.e kā vajūd
kyā tire chehre se ho zulf-e-girah-gīr judā

mujh giraftār-e-judā.ī ke jo paañv meñ paḌī
ho junūñ halqe se har halqa-e-zanjīr judā

maiñ ne jo dard-e-judā.ī se kiye haiñ naale
kījiye tan se mirā sar pa-e-ta.azīr judā

teġh-e-āhan se sivā hai burish-e-teġh-e-zabāñ
haq ko bātil se karegī tirī taqrīr judā

āshnā muttahid is darja kahāñ hote haiñ
aap dil-gīr hai 'nāsiḳh' jo hai dil-gīr judā

yun mujhe aap se ab karti hai taqdir juda
jis tarah jang mein ho qabze se shamshir juda

mas ke zar hone se behtar hai kamal-e-insan
KHaksari hai juda aur hai iksir juda

ja-e-dandan lab-e-sofar hue ai qatil
dahan-e-zaKHm se hoga na tera tir juda

maraz-e-ishq mein piTh apni ye bistar se lagi
na kabhi safha se jis shakl ho taswir juda

ai junun panw hain jab tak ye tamanna hai mujhe
kabhi manind ragon ke na ho zanjir juda

chhoDun kya piri mein shirin-dahanon ki sohbat
nahin mumkin ki hon mil kar shakar-o-shir juda

kahte hain dekh ke zulf us ke ruKH-e-taban par
kabhi hota nahin us shama se gul-gir juda

jab judai ke mazamin mujhe sujhe hain
harf se harf hua hai dam-e-tahrir juda

kyun na ho jalwa-e-KHurshed se sae ka wajud
kya tere chehre se ho zulf-e-girah-gir juda

mujh giraftar-e-judai ke jo panw mein paDi
ho junun halqe se har halqa-e-zanjir juda

main ne jo dard-e-judai se kiye hain nale
kijiye tan se mera sar pa-e-tazir juda

tegh-e-ahan se siwa hai burish-e-tegh-e-zaban
haq ko baatil se karegi teri taqrir juda

aashna muttahid is darja kahan hote hain
aap dil-gir hai 'nasiKH' jo hai dil-gir juda


Leave a comment

+