Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Akbarabadi

  • Ghazal


phire hain dhun mein teri hum idhar udhar tanha


phire haiñ dhun meñ tirī ham idhar udhar tanhā
tujhe talāsh kiyā hai nagar nagar tanhā

hamāre saath sabhī haiñ magar koī bhī nahīñ
ham anjuman meñ haiñ baiThe hue magar tanhā

gavāh haiñ rah-e-shauq-o-talab ke sannāTe
kiyā hai ham ne ye sabr-āzmā safar tanhā

chale ga.e haiñ na-jāne kahāñ sharīk-e-safar
mujhe hayāt kī rāhoñ meñ chhoḌ kar tanhā

bahut dinoñ se nahīñ tū rafīq-e-dīda-o-dil
bahut dinoñ se akelā hai dil, nazar tanhā

bhulāne vaale kabhī tū ne ye bhī sochā hai
tire baġhair hai kab se tirā 'zafar' tanhā

phire hain dhun mein teri hum idhar udhar tanha
tujhe talash kiya hai nagar nagar tanha

hamare sath sabhi hain magar koi bhi nahin
hum anjuman mein hain baiThe hue magar tanha

gawah hain rah-e-shauq-o-talab ke sannaTe
kiya hai hum ne ye sabr-azma safar tanha

chale gae hain na-jaane kahan sharik-e-safar
mujhe hayat ki rahon mein chhoD kar tanha

bahut dinon se nahin tu rafiq-e-dida-o-dil
bahut dinon se akela hai dil, nazar tanha

bhulane wale kabhi tu ne ye bhi socha hai
tere baghair hai kab se tera 'zafar' tanha


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 590) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+