sūraj kī mīzān liye ham, vo the barf kī baaT liye
is hālat meñ ham donoñ ne apne jīvan kaaT liye
ek hī ghar meñ rahte the ham lekin donoñ anjāne the
jab is kā ehsās huā to apne raste paaT liye
koī gāhak mil jaatā to achchhī qīmat mil jaatī
biich ḳharīdāroñ ke the ham apne hunar kī baaT liye
rājāoñ kā daur gayā aur saath zamīñ-dārī bhī ga.ī
lekin gaañv kā mukhiyā jiitā hai navābī ThaaT liye
'āzam' is vahshī duniyā meñ ham ne ye bhī dekhā hai
ḳhuun bahā jo apnoñ kā vo ḳhuun apnoñ ne chaaT liye
suraj ki mizan liye ham, wo the barf ki baT liye
is haalat mein hum donon ne apne jiwan kaT liye
ek hi ghar mein rahte the hum lekin donon anjaane the
jab is ka ehsas hua to apne raste paT liye
koi gahak mil jata to achchhi qimat mil jati
bich KHaridaron ke the hum apne hunar ki baT liye
rajaon ka daur gaya aur sath zamin-dari bhi gai
lekin ganw ka mukhiya jita hai nawabi ThaT liye
'azam' is wahshi duniya mein hum ne ye bhi dekha hai
KHun baha jo apnon ka wo KHun apnon ne chaT liye
Leave a comment