merā aur phūloñ kā rishta TuuT gayā
khiḌkī band huī aur sapnā TuuT gayā
chiḌiyāñ kab ā.ankhoñ se bāteñ kartī haiñ
sub.h huī ghar kā sannāTā TuuT gayā
baaġh kī vīrānī kā ainī shāhid huuñ
tanhā.ī ke bojh se jhūlā TuuT gayā
aaj bhī merā haath pakaḌ kar ghūmegī
aaj phir us laḌkī kā chashma TuuT gayā
peḌ aur dil meñ koī ḳhaas ta.alluq hai
havā chalī aur āḳhirī pattā TuuT gayā
mera aur phulon ka rishta TuT gaya
khiDki band hui aur sapna TuT gaya
chiDiyan kab aaankhon se baaten karti hain
subh hui ghar ka sannaTa TuT gaya
bagh ki virani ka aini shahid hun
tanhai ke bojh se jhula TuT gaya
aaj bhi mera hath pakaD kar ghumegi
aaj phir us laDki ka chashma TuT gaya
peD aur dil mein koi KHas talluq hai
hawa chali aur aaKHiri patta TuT gaya
Leave a comment