Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


ishq karta hun, taqaza nahin kar sakta main


ishq kartā huuñ, taqāzā nahīñ kar saktā maiñ
mirā dāman hai so melā nahīñ kar saktā maiñ

itnī fursat hai ki ik duniyā banā saktā huuñ
par koī hai jise apnā nahīñ kar saktā maiñ

kitne logoñ ne in ā.ankhoñ se shifā paa.ī hai
ek bīmār ko achchhā nahīñ kar saktā maiñ

ghar se niklā to ye mumkin hai bhaTak hī jā.ūñ
yaar ab apnā to pīchhā nahīñ kar saktā maiñ

raat bhar shor machātā hai kisī ḳhauf ke taht
apne ham-zād pe parcha nahīñ kar saktā maiñ

āḳhirī saañs hai kuchh mujh pe karam ho sayyād
dekh ab aur tamāshā nahīñ kar saktā maiñ

bhiik bhī chāhiye us dast-e-saḳhī se mujh ko
aur dāman bhī kushāda nahīñ kar saktā maiñ

ishq karta hun, taqaza nahin kar sakta main
mera daman hai so mela nahin kar sakta main

itni fursat hai ki ek duniya bana sakta hun
par koi hai jise apna nahin kar sakta main

kitne logon ne in aaankhon se shifa pai hai
ek bimar ko achchha nahin kar sakta main

ghar se nikla to ye mumkin hai bhaTak hi jaun
yar ab apna to pichha nahin kar sakta main

raat bhar shor machata hai kisi KHauf ke taht
apne ham-zad pe parcha nahin kar sakta main

aaKHiri sans hai kuchh mujh pe karam ho sayyaad
dekh ab aur tamasha nahin kar sakta main

bhik bhi chahiye us dast-e-saKHi se mujh ko
aur daman bhi kushada nahin kar sakta main


Leave a comment

+