Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


phul kitaben le ja tanha rahne de


phuul kitābeñ le jā tanhā rahne de
merā kamra, merā kamra rahne de

yaar ye chaar qadam kī kyā hamrāhī hai!
thoḌī der to dil ko chaltā rahne de

ab bhī us se titlī milne aatī hai
balcony meñ TuuTā gamlā rahne de

kaaT de chāhe merī saarī shāḳhoñ ko
jis par jhuul rahā hai jhūlā, rahne de

vo to dil thā lekin ye to baaġh hai yaar
peḌ pe merā naam to likkhā rahne de

mujh ko āzādī kā kuchh ehsās to ho
is pinjre meñ ek parinda rahne de

phul kitaben le ja tanha rahne de
mera kamra, mera kamra rahne de

yar ye chaar qadam ki kya hamrahi hai!
thoDi der to dil ko chalta rahne de

ab bhi us se titli milne aati hai
balcony mein TuTa gamla rahne de

kaT de chahe meri sari shaKHon ko
jis par jhul raha hai jhula, rahne de

wo to dil tha lekin ye to bagh hai yar
peD pe mera nam to likkha rahne de

mujh ko aazadi ka kuchh ehsas to ho
is pinjre mein ek parinda rahne de


Leave a comment

+