Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


dil mein kitni wahshat pali ja sakti hai


dil meñ kitnī vahshat paalī jā saktī hai
beach kī koī raah nikālī jā saktī hai

tere chhoTe se dil meñ maiñ kyā ā.ūñgā
lekin ik tasvīr sambhālī jā saktī hai

zehn baḌā saffāk musavvir ho saktā hai
saañs talak zanjīr meñ Dhālī jā saktī hai

aisā ho to dastar-ḳhvān khulā kar denā
chuTkī meñ ghar kī bad-halī jā saktī hai

jis par baḌe baḌoñ ne haath khaḌe kar Daale
do hoñToñ se baat sambhālī jā saktī hai

vahāñ vahāñ par diip jalāne jā saktā huuñ
jahāñ jahāñ par golī gaalī jā saktī hai

dil mein kitni wahshat pali ja sakti hai
beach ki koi rah nikali ja sakti hai

tere chhoTe se dil mein main kya aaunga
lekin ek taswir sambhaali ja sakti hai

zehn baDa saffak musawwir ho sakta hai
sans talak zanjir mein Dhaali ja sakti hai

aisa ho to dastar-KHwan khula kar dena
chuTki mein ghar ki bad-hali ja sakti hai

jis par baDe baDon ne hath khaDe kar Dale
do honTon se baat sambhaali ja sakti hai

wahan wahan par dip jalane ja sakta hun
jahan jahan par goli gali ja sakti hai


Leave a comment

+