Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ikram Mujeeb

  • Ghazal


ye kamal bhi to kam nahin tera


ye kamāl bhī to kam nahīñ tirā
har kisī ne kar liyā yaqīñ tirā

intizār kar rahe haiñ der se
is udaas shahr ke makīñ tirā

in dinoñ paḌāv kis jagah pe hai
aaj kal hai kaun ham-nashīñ tirā

har zabān par savāl hai yahī
ek maiñ hī pūchhtā nahīñ tirā

ye na.ī uḌaan is zamīn se
rābta na toḌ de kahīñ tirā

ye kamal bhi to kam nahin tera
har kisi ne kar liya yaqin tera

intizar kar rahe hain der se
is udas shahr ke makin tera

in dinon paDaw kis jagah pe hai
aaj kal hai kaun ham-nashin tera

har zaban par sawal hai yahi
ek main hi puchhta nahin tera

ye nai uDan is zamin se
rabta na toD de kahin tera


Leave a comment

+