Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Shafi

  • Ghazal


sab tarah ke haalat ko imkan mein rakkha


sab tarah ke hālāt ko imkān meñ rakkhā
har lamha use soch meñ vijdān meñ rakkhā

hijrat kī ghaḌī ham ne tire ḳhat ke alāva
bosīda kitāboñ ko bhī sāmān meñ rakkhā

mujh ko mirī qāmat ke mutābiq bhī jagah dī
ye phuul uThā kar kabhī gul-dān meñ rakkhā?

ik umr guzārī na.e āhañg se lekin
ajdād kī aqdār ko bhī dhyān meñ rakkhā

ik roz siyah raat hathelī pe sajā kar
sahrā ne qadam ḳhitta-e-gunjān meñ rakkhā

hoñToñ ko sadā rakkhā tabassum se ibārat
ik zahr-bujhā tiir bhī muskān meñ rakkhā

sab tarah ke haalat ko imkan mein rakkha
har lamha use soch mein wijdan mein rakkha

hijrat ki ghaDi hum ne tere KHat ke alawa
bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha

mujh ko meri qamat ke mutabiq bhi jagah di
ye phul uTha kar kabhi gul-dan mein rakkha?

ek umr guzari nae aahang se lekin
ajdad ki aqdar ko bhi dhyan mein rakkha

ek roz siyah raat hatheli pe saja kar
sahra ne qadam KHitta-e-gunjaan mein rakkha

honTon ko sada rakkha tabassum se ibarat
ek zahr-bujha tir bhi muskan mein rakkha


Source: Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 43)

Leave a comment

+