Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Raghib

  • Ghazal


KHirad-gazida junun ka shikar yani main


ḳhirad-gazīda junūñ kā shikār ya.anī maiñ
milā thā ġham ko bhī ik ġham-gusār ya.anī maiñ

mohabbateñ na luTātā to aur kyā kartā
vufūr-e-shauq kā ā.īna-dār ya.anī maiñ

aziim chaak pe thī inkisār kī miTTī
banā thā kuuza koī shāhkār ya.anī maiñ

chamak rahā thā muāfiq tirī tavajjoh ke
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā kā dayār ya.anī maiñ

mire ḳhudā nahīñ thamtā ye zulm kā tūfān
aur us ke sāmne musht-e-ġhubār ya.anī maiñ

huī thī jab bhī tire iltifāt kī bārish
lahak uThā thā tarah lāla-zār ya.anī maiñ

zahe-nasīb havādis meñ bhī nahīñ TuuTā
tirā ġhurūr tirā iftiḳhār ya.anī maiñ

hai mustaqil mire siine meñ dard ya.anī tū
na rah sakā tire dil meñ qarār ya.anī maiñ

har ek baat mirī kar rahā thā rad 'rāġhib'
mire suḳhan pe thā koī savār ya.anī maiñ

KHirad-gazida junun ka shikar yani main
mila tha gham ko bhi ek gham-gusar yani main

mohabbaten na luTata to aur kya karta
wufur-e-shauq ka aaina-dar yani main

azim chaak pe thi inkisar ki miTTi
bana tha kuza koi shahkar yani main

chamak raha tha muafiq teri tawajjoh ke
KHulus-o-mehr-o-wafa ka dayar yani main

mere KHuda nahin thamta ye zulm ka tufan
aur us ke samne musht-e-ghubar yani main

hui thi jab bhi tere iltifat ki barish
lahak uTha tha tarah lala-zar yani main

zahe-nasib hawadis mein bhi nahin TuTa
tera ghurur tera iftiKHar yani main

hai mustaqil mere sine mein dard yani tu
na rah saka tere dil mein qarar yani main

har ek baat meri kar raha tha rad 'raghib'
mere suKHan pe tha koi sawar yani main


Leave a comment

+