Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Raghib

  • Ghazal


muztarib aap ke bina hai ji


muztarib aap ke binā hai jī
ye mohabbat bhī kyā balā hai jī

jī rahā huuñ maiñ kitnā ghuT ghuT kar
ye mirā jī hī jāntā hai jī

mere siine meñ jo dhaḌaktā hai
merā dil hai ki aap kā hai jī

aap is ko burā samajhte haiñ
apnā apnā mushāhida hai jī

itne ma.asūm aap mat baniye
aap logoñ ko sab patā hai jī

kyā batā.ūñ ki kitnī shiddat se
tum se milne ko chāhtā hai jī

chand yādeñ haiñ chand sapne haiñ
apne hisse meñ aur kyā hai jī

ahl-e-furqat kī zindagī 'rāġhib'
zindagī hai ki ik sazā hai jī

muztarib aap ke bina hai ji
ye mohabbat bhi kya bala hai ji

ji raha hun main kitna ghuT ghuT kar
ye mera ji hi jaanta hai ji

mere sine mein jo dhaDakta hai
mera dil hai ki aap ka hai ji

aap is ko bura samajhte hain
apna apna mushahida hai ji

itne masum aap mat baniye
aap logon ko sab pata hai ji

kya bataun ki kitni shiddat se
tum se milne ko chahta hai ji

chand yaaden hain chand sapne hain
apne hisse mein aur kya hai ji

ahl-e-furqat ki zindagi 'raghib'
zindagi hai ki ek saza hai ji

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Iftikhar Raghib RECITATIONS Iftikhar Raghib



00:00/00:00 muztarib aap ke bina hai ji Iftikhar Raghib

Source: Book : Lafoz Men Ehsas (Pg. 36)

Leave a comment

+