Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Ajmi

  • Ghazal


badan se ruh talak hum lahu lahu hue hain


badan se ruuh talak ham lahū lahū hue haiñ
tumhāre ishq meñ ab jā ke surḳh-rū hue haiñ

havā ke saath uḌī hai mohabbatoñ kī mahak
ye tazkire jo mirī jaan kū-ba-kū hue haiñ

vo shab to kaT ga.ī jo pyaas kī thī āḳhirī shab
sharīk girya-e-shabnam meñ ab sabhū hue haiñ

tumhāre husn kī tashbīb hī kahī hai abhī
charāġh jalne lage phuul mushk-bū hue haiñ

ajiib lutf hai is TūTne bikharne meñ
ham ek musht-e-ġhubār ab chahār-sū hue haiñ

bajā hai zindagī se ham bahut rahe nārāz
magar batāo ḳhafā tum se bhī kabhū hue haiñ

maiñ tār-tār 'zafar' ho gayā huuñ jis ke sabab
falak ke chaak usī fikr se rafū hue haiñ

badan se ruh talak hum lahu lahu hue hain
tumhaare ishq mein ab ja ke surKH-ru hue hain

hawa ke sath uDi hai mohabbaton ki mahak
ye tazkire jo meri jaan ku-ba-ku hue hain

wo shab to kaT gai jo pyas ki thi aaKHiri shab
sharik girya-e-shabnam mein ab sabhu hue hain

tumhaare husn ki tashbib hi kahi hai abhi
charagh jalne lage phul mushk-bu hue hain

ajib lutf hai is TuTne bikharne mein
hum ek musht-e-ghubar ab chahaar-su hue hain

baja hai zindagi se hum bahut rahe naraaz
magar batao KHafa tum se bhi kabhu hue hain

main tar-tar 'zafar' ho gaya hun jis ke sabab
falak ke chaak usi fikr se rafu hue hain


Leave a comment

+