chashm-e-tar ko zabān kar baiThe
haal dil kā bayān kar baiThe
tum ne rasman mujhe salām kiyā
log kyā kyā gumān kar baiThe
ek pal bhī kahāñ sukūn milā
aap ko jab se jaan kar baiThe
pastiyoñ meñ kabhī girā Daalā
aur kabhī āsmān kar baiThe
aas kī sham.a TimTimātī rahī
ham kahāñ haar maan kar baiThe
ek pal kā yaqīñ nahīñ 'rāġhib'
ik sadī kā plan kar baiThe
chashm-e-tar ko zaban kar baiThe
haal dil ka bayan kar baiThe
tum ne rasman mujhe salam kiya
log kya kya guman kar baiThe
ek pal bhi kahan sukun mila
aap ko jab se jaan kar baiThe
pastiyon mein kabhi gira Dala
aur kabhi aasman kar baiThe
aas ki shama TimTimati rahi
hum kahan haar man kar baiThe
ek pal ka yaqin nahin 'raghib'
ek sadi ka plan kar baiThe
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Iftikhar Raghib
RECITATIONS
Iftikhar Raghib
00:00/00:00
chashm-e-tar ko zaban kar baiThe
Iftikhar Raghib
Source: Book : Lafoz Men Ehsas (Pg. 38)
Leave a comment