kyoñ kisī se ho shikāyat aap ko
aap hī se hai mohabbat aap ko
har taraf raqsāñ fareb-e-iltifāt
muskurāne kī hai aadat aap ko
jaane kab tak sabr karnā hai hameñ
jaane kab hogī nadāmat aap ko
quvvat-e-bardāsht merī kam na ho
aur ḳhudā rakhe salāmat aap ko
farq paḌtā kuchh to kartā arz kuchh
kyā sunā.ūñ dil kī durgat aap ko
muskurā detā huuñ maiñ taklīf meñ
aur ho jaatī hai zahmat aap ko
kis ko 'rāġhib' ab vafā kā paas hai
kyoñ na ham samjheñ ġhanīmat aap ko
kyon kisi se ho shikayat aap ko
aap hi se hai mohabbat aap ko
har taraf raqsan fareb-e-iltifat
muskurane ki hai aadat aap ko
jaane kab tak sabr karna hai hamein
jaane kab hogi nadamat aap ko
quwwat-e-bardasht meri kam na ho
aur KHuda rakhe salamat aap ko
farq paDta kuchh to karta arz kuchh
kya sunaun dil ki durgat aap ko
muskura deta hun main taklif mein
aur ho jati hai zahmat aap ko
kis ko 'raghib' ab wafa ka pas hai
kyon na hum samjhen ghanimat aap ko
Leave a comment