Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Raghib

  • Ghazal


kyon hai lahja bujha bujha tera


kyoñ hai lahja bujhā bujhā terā
kyā huā ab vo valvala terā

vaqfe vaqfe se khol kar khiḌkī
achchhā lagtā hai jhāñknā terā

terī āñkhoñ meñ jhāñk kar dekhūñ
aks merā ho aa.ina terā

kyā manā.egā apne dil kī ḳhair
jis se paḌ jaa.e vāsta terā

tiir sā lag rahā hai ġhairoñ ko
mere sheroñ pe tabsira terā

TuuT jaa.e na Dor sāñsoñ kī
bāñdh rakkhā hai aasrā terā

jo bhī miltā thā marne vaalā thā
kis se kartā maiñ tazkira terā

jhāñk kar terī jhuktī āñkhoñ meñ
paḌh liyā maiñ ne faisla terā

kaun samjhegā mere dil kā haal
kis ne dekhā hai dekhnā terā

jaane kab pighle un kā dil 'rāġhib'
jaane kab hal ho mas.ala terā

kyon hai lahja bujha bujha tera
kya hua ab wo walwala tera

waqfe waqfe se khol kar khiDki
achchha lagta hai jhankna tera

teri aankhon mein jhank kar dekhun
aks mera ho aaina tera

kya manaega apne dil ki KHair
jis se paD jae wasta tera

tir sa lag raha hai ghairon ko
mere sheron pe tabsira tera

TuT jae na Dor sanson ki
bandh rakkha hai aasra tera

jo bhi milta tha marne wala tha
kis se karta main tazkira tera

jhank kar teri jhukti aankhon mein
paDh liya main ne faisla tera

kaun samjhega mere dil ka haal
kis ne dekha hai dekhna tera

jaane kab pighle un ka dil 'raghib'
jaane kab hal ho masala tera


Leave a comment

+