haif baa.is tire itaab kā maiñ
kyā karūñ apne iztirāb kā maiñ
terī āñkhoñ ke aa.ine meñ rahūñ
aks ban jā.ūñ tere ḳhvāb kā maiñ
rabt meñ bhī hisāb un kā maiñ
aur qaa.il huuñ be-hisāb kā maiñ
aur kab tak rahūñ maiñ misl-e-savāl
muntazir aap ke javāb kā maiñ
sard-mehrī kā hai lihāf un par
aur paikar huuñ iztirāb kā maiñ
jo mohabbat ke naam hai mansūb
ik varaq huuñ usī kitāb kā maiñ
mujtanib mere iltifāt se vo
taḳhta-e-mashq ijtināb kā maiñ
kyā karūñ aa.ina hai mere paas
varna dushman nahīñ janāb kā maiñ
kyoñ añdhere ḳhilāf haiñ mere
kaun lagtā huuñ āftāb kā maiñ
matn rūdād-e-ishq kā 'rāġhib'
yā ḳhulāsa junūñ ke baab kā maiñ
haif bais tere itab ka main
kya karun apne iztirab ka main
teri aankhon ke aaine mein rahun
aks ban jaun tere KHwab ka main
rabt mein bhi hisab un ka main
aur qail hun be-hisab ka main
aur kab tak rahun main misl-e-sawal
muntazir aap ke jawab ka main
sard-mehri ka hai lihaf un par
aur paikar hun iztirab ka main
jo mohabbat ke nam hai mansub
ek waraq hun usi kitab ka main
mujtanib mere iltifat se wo
taKHta-e-mashq ijtinab ka main
kya karun aaina hai mere pas
warna dushman nahin janab ka main
kyon andhere KHilaf hain mere
kaun lagta hun aaftab ka main
matn rudad-e-ishq ka 'raghib'
ya KHulasa junun ke bab ka main
Leave a comment