din meñ aane lage haiñ ḳhvāb mujhe
us ne bhejā hai ik gulāb mujhe
guftugū sun rahā huuñ āñkhoñ kī
chāhiye aap kā javāb mujhe
vaqt-e-fursat kā intizār karūñ
itnī fursat kahāñ janāb mujhe
zo.am thā be-hisāb chāhat hai
us ne samjhā diyā hisāb mujhe
paḌhtā rahtā huuñ aap kā chehra
achchhī lagtī hai ye kitāb mujhe
lījiye aur imtihān mirā
aur honā hai kāmyāb mujhe
koī aisī ḳhatā karūñ 'rāġhib'
jis kā miltā rahe savāb mujhe
din mein aane lage hain KHwab mujhe
us ne bheja hai ek gulab mujhe
guftugu sun raha hun aankhon ki
chahiye aap ka jawab mujhe
waqt-e-fursat ka intizar karun
itni fursat kahan janab mujhe
zoam tha be-hisab chahat hai
us ne samjha diya hisab mujhe
paDhta rahta hun aap ka chehra
achchhi lagti hai ye kitab mujhe
lijiye aur imtihan mera
aur hona hai kaamyab mujhe
koi aisi KHata karun 'raghib'
jis ka milta rahe sawab mujhe
Leave a comment