Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Raghib

  • Ghazal


inkar hi kar dijiye iqrar nahin to


inkār hī kar dījiye iqrār nahīñ to
uljhan hī meñ mar jā.egā bīmār nahīñ to

lagtā hai ki pinjre meñ huuñ duniyā meñ nahīñ huuñ
do roz se dekhā koī aḳhbār nahīñ to

duniyā hameñ nābūd hī kar Dālegī ik din
ham hoñge agar ab bhī ḳhabar-dār nahīñ to

kuchh to rahe aslāf kī tahzīb kī ḳhushbū
Topī hī lagā lījiye dastār nahīñ to

ham barsar-e-paikār sitamgar se hamesha
rakhte haiñ qalam haath meñ talvār nahīñ to

bhaa.ī ko hai bhaa.ī pe bharosa to bhalā hai
āñgan meñ bhī uTh jā.egī dīvār nahīñ to

be-sūd har ik qaul har ik sher hai 'rāġhib'
gar us ke muāfiq tirā kirdār nahīñ to

inkar hi kar dijiye iqrar nahin to
uljhan hi mein mar jaega bimar nahin to

lagta hai ki pinjre mein hun duniya mein nahin hun
do roz se dekha koi aKHbar nahin to

duniya hamein nabud hi kar Dalegi ek din
hum honge agar ab bhi KHabar-dar nahin to

kuchh to rahe aslaf ki tahzib ki KHushbu
Topi hi laga lijiye dastar nahin to

hum barsar-e-paikar sitamgar se hamesha
rakhte hain qalam hath mein talwar nahin to

bhai ko hai bhai pe bharosa to bhala hai
aangan mein bhi uTh jaegi diwar nahin to

be-sud har ek qaul har ek sher hai 'raghib'
gar us ke muafiq tera kirdar nahin to

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Iftikhar Raghib RECITATIONS Iftikhar Raghib00:00/00:00 inkar hi kar dijiye iqrar nahin to Iftikhar Raghib

Source: Book : Khayal-e-Chehra (Pg. 24) Author : Iftikhar Raghib Publication : New Alled Printers (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+