duur duur tak sannāTā hai koī nahīñ hai paas
aa jā dariyā hoñT se lag jā pī le merī pyaas
ishq ke pahle pahle vaar se vo bhī TuuT ga.ī
ik jogī kā pyaar na aayā us laḌkī ko raas
rozāna poshākeñ badlūñ aur ḳhushbūeñ bhī
mere jism se utre nā merī miTTī kī baas
saare dariyā phuuT paḌeñge ik duuje ke biich
ik din aa kar mil jā.egī terī merī pyaas
dil ke andar naach rahe haiñ kitne shaah hasīn
mere ishq kī phūTī hai ab raushan laal kapās
dur dur tak sannaTa hai koi nahin hai pas
aa ja dariya honT se lag ja pi le meri pyas
ishq ke pahle pahle war se wo bhi TuT gai
ek jogi ka pyar na aaya us laDki ko ras
rozana poshaken badlun aur KHushbuen bhi
mere jism se utre na meri miTTi ki bas
sare dariya phuT paDenge ek duje ke bich
ek din aa kar mil jaegi teri meri pyas
dil ke andar nach rahe hain kitne shah hasin
mere ishq ki phuTi hai ab raushan lal kapas
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 334) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment