Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Naseem

  • Ghazal


lagega ajnabi ab kyon na shahr bhar mujhko


lagegā ajnabī ab kyoñ na shahr bhar mujh ko
bachā gayā hai nazar tū bhī dekh kar mujh ko

maiñ ghuum phir ke usī samt aa nikaltā huuñ
jakaḌ rahī hai tire ghar kī rahguzar mujh ko

jhulas rahā hai badan zer-e-sāya-e-dīvār
bulā rahā hai koī dasht-e-be-shajar mujh ko

maiñ sañg-dil huuñ tujhe bhūltā hī jaatā huuñ
maiñ hañs rahā huuñ to mil ke udaas kar mujh ko

maiñ dekhtā hī rahūñgā tujhe kināre se
tū DhūñDhtā hī rahegā bhañvar bhañvar mujh ko

banī haiñ tund havāoñ kī zard dīvāreñ
uḌā rahā hai magar sho.ala-e-safar mujh ko

banā diyā hai niDar ziddī ḳhvāhishoñ ne 'nasīm'
ḳhud e'timād na thā apne aap par mujh ko

lagega ajnabi ab kyon na shahr bhar mujh ko
bacha gaya hai nazar tu bhi dekh kar mujh ko

main ghum phir ke usi samt aa nikalta hun
jakaD rahi hai tere ghar ki rahguzar mujh ko

jhulas raha hai badan zer-e-saya-e-diwar
bula raha hai koi dasht-e-be-shajar mujh ko

main sang-dil hun tujhe bhulta hi jata hun
main hans raha hun to mil ke udas kar mujh ko

main dekhta hi rahunga tujhe kinare se
tu DhunDhta hi rahega bhanwar bhanwar mujh ko

bani hain tund hawaon ki zard diwaren
uDa raha hai magar shoala-e-safar mujh ko

bana diya hai niDar ziddi KHwahishon ne 'nasim'
KHud e'timad na tha apne aap par mujh ko


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 50) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+