Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Naseem

  • Ghazal


sarae chhoD ke wo phir kabhi nahin aaya


sarā.e chhoḌ ke vo phir kabhī nahīñ aayā
chalā gayā jo musāfir kabhī nahīñ aayā

har ek shai mire ghar meñ usī ke zauq kī hai
jo mere ghar meñ ba-zāhir kabhī nahīñ aayā

ye kaun mujh ko adhūrā banā ke chhoḌ gayā
palaT ke merā musavvir kabhī nahīñ aayā

makāñ huuñ jis meñ koī bhī makīñ nahīñ rahtā
shajar huuñ jis pe ki taa.ir kabhī nahīñ aayā

sarae chhoD ke wo phir kabhi nahin aaya
chala gaya jo musafir kabhi nahin aaya

har ek shai mere ghar mein usi ke zauq ki hai
jo mere ghar mein ba-zahir kabhi nahin aaya

ye kaun mujh ko adhura bana ke chhoD gaya
palaT ke mera musawwir kabhi nahin aaya

makan hun jis mein koi bhi makin nahin rahta
shajar hun jis pe ki tair kabhi nahin aaya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 sarae chhoD ke wo phir kabhi nahin aaya Nomaan Shauque

Leave a comment

+