vo milā mujh ko na jaane ḳhol kaisā oḌh kar
raushnī gum ho ga.ī apnā hī saayā oḌh kar
niiñd se bojh haiñ patte ūñghte se peḌ haiñ
shahar soyā hai ḳhamoshī kā labāda oḌh kar
DhūñDhtā phirtā thā maiñ har shaḳhs ke aslī nuqūsh
log milte the mujhe chehre pe chehrā oḌh kar
munjamid sā ho gayā huuñ ḳhunkī-e-ehsās se
dhuup bhī niklī hai lekin tan pe kapḌā oḌh kar
rañg saare dho gayā hai raat kā bādal 'nasīm'
aur ghar nañge hue paanī barastā oḌh kar
wo mila mujh ko na jaane KHol kaisa oDh kar
raushni gum ho gai apna hi saya oDh kar
nind se bojh hain patte unghte se peD hain
shahar soya hai KHamoshi ka labaada oDh kar
DhunDhta phirta tha main har shaKHs ke asli nuqush
log milte the mujhe chehre pe chehra oDh kar
munjamid sa ho gaya hun KHunki-e-ehsas se
dhup bhi nikli hai lekin tan pe kapDa oDh kar
rang sare dho gaya hai raat ka baadal 'nasim'
aur ghar nange hue pani barasta oDh kar
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment