apnā saarā bojh zamīñ par pheñk diyā
tujh ko ḳhat likkhā aur likh kar pheñk diyā
ḳhud ko sākin dekhā Thahre paanī meñ
jaane kyā kuchh soch ke patthar pheñk diyā
dīvāreñ kyuuñ ḳhālī ḳhālī lagtī haiñ
kis ne sab kuchh ghar se bāhar pheñk diyā
maiñ to apnā jism sukhāne niklā thā
bārish ne phir mujh pe samundar pheñk diyā
vo kaisā thā us ko kahāñ par dekhā thā
apnī āñkhoñ ne har manzar pheñk diyā
apna sara bojh zamin par phenk diya
tujh ko KHat likkha aur likh kar phenk diya
KHud ko sakin dekha Thahre pani mein
jaane kya kuchh soch ke patthar phenk diya
diwaren kyun KHali KHali lagti hain
kis ne sab kuchh ghar se bahar phenk diya
main to apna jism sukhane nikla tha
barish ne phir mujh pe samundar phenk diya
wo kaisa tha us ko kahan par dekha tha
apni aankhon ne har manzar phenk diya
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment