Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Naseem

  • Ghazal


suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya


sūraj na.e baras kā mujhe jaise Das gayā
tujh se mile hue mujhe ye bhī baras gayā

bahtī rahī nadī mire ghar ke qarīb se
paanī ko dekhne ke liye maiñ taras gayā

milne kī ḳhvāhisheñ sabhī dam toḌtī ga.iiñ
dil meñ kuchh aise ḳhauf bichhaḌne kā bas gayā

dīvār o dar jhulaste rahe tez dhuup meñ
bādal tamām shahr se bāhar baras gayā

talvoñ meñ narm ghaas bhī chubhne lagī 'nasīm'
sahrā kuchh is tarah mire pairoñ meñ bas gayā

suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya
tujh se mile hue mujhe ye bhi baras gaya

bahti rahi nadi mere ghar ke qarib se
pani ko dekhne ke liye main taras gaya

milne ki KHwahishen sabhi dam toDti gain
dil mein kuchh aise KHauf bichhaDne ka bas gaya

diwar o dar jhulaste rahe tez dhup mein
baadal tamam shahr se bahar baras gaya

talwon mein narm ghas bhi chubhne lagi 'nasim'
sahra kuchh is tarah mere pairon mein bas gaya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya Nomaan Shauque

Leave a comment

+