Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Naseem

  • Ghazal


uske chehre ki chamak ke samne sada laga


us ke chehre kī chamak ke sāmne saada lagā
āsmāñ pe chāñd puurā thā magar aadhā lagā

jis ghaḌī aayā palaT kar ik mirā bichhḌā huā
aam se kapḌoñ meñ thā vo phir bhī shahzāda lagā

har ghaḌī tayyār hai dil jaan dene ke liye
us ne pūchhā bhī nahīñ ye phir bhī āmāda lagā

kārvāñ hai yā sarāb-e-zindagī hai kyā hai ye
ek manzil kā nishāñ ik aur hī jaada lagā

raushnī aisī ajab thī rañg-bhūmī kī 'nasīm'
ho ga.e kirdār mudġham kirshn bhī rādhā lagā

us ke chehre ki chamak ke samne sada laga
aasman pe chand pura tha magar aadha laga

jis ghaDi aaya palaT kar ek mera bichhDa hua
aam se kapDon mein tha wo phir bhi shahzada laga

har ghaDi tayyar hai dil jaan dene ke liye
us ne puchha bhi nahin ye phir bhi aamada laga

karwan hai ya sarab-e-zindagi hai kya hai ye
ek manzil ka nishan ek aur hi jada laga

raushni aisi ajab thi rang-bhumi ki 'nasim'
ho gae kirdar mudgham kirshn bhi radha laga

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 uske chehre ki chamak ke samne sada laga Nomaan Shauque

Leave a comment

+