Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Mughal

  • Ghazal


kabhi kabhi to ye haalat bhi ki mohabbat ne


kabhī kabhī to ye hālat bhī kī mohabbat ne
niDhāl kar diyā mujh ko tirī mohabbat ne

tirī ye pahlī mohabbat hai tujh ko kyā ma.alūm
ghulā diyā mujhe is āḳhirī mohabbat ne

vo yuuñ bhī ḳhair se sarmā kā chāñd thī lekin
use ujaal diyā aur bhī mohabbat ne

mujhe ḳhudā ne adhūrā hī chhoḌnā thā magar
mujhe banā diyā ik shaḳhs kī mohabbat ne

ye tum jo mere liye ḳhvāb chhoḌ aa.ī ho
tumheñ jagāyā to hogā mirī mohabbat ne

maiñ jis ko pahle pahal dil-lagī samajhtā thā
mujhe to maar diyā is na.ī mohabbat ne

ye apne apne nasīboñ kī baat hai varna
kisī ko 'mīr' banāyā isī mohabbat ne

ye jism-o-jān ye nām-o-numūd hasb-o-nasab
ye saare vahm the izzat to dī mohabbat ne

mohabbat aur ibādat meñ farq to hai naañ
so chhīn lī hai tirī dostī mohabbat ne

kabhi kabhi to ye haalat bhi ki mohabbat ne
niDhaal kar diya mujh ko teri mohabbat ne

teri ye pahli mohabbat hai tujh ko kya malum
ghula diya mujhe is aaKHiri mohabbat ne

wo yun bhi KHair se sarma ka chand thi lekin
use ujal diya aur bhi mohabbat ne

mujhe KHuda ne adhura hi chhoDna tha magar
mujhe bana diya ek shaKHs ki mohabbat ne

ye tum jo mere liye KHwab chhoD aai ho
tumhein jagaya to hoga meri mohabbat ne

main jis ko pahle pahal dil-lagi samajhta tha
mujhe to mar diya is nai mohabbat ne

ye apne apne nasibon ki baat hai warna
kisi ko 'mir' banaya isi mohabbat ne

ye jism-o-jaan ye nam-o-numud hasb-o-nasab
ye sare wahm the izzat to di mohabbat ne

mohabbat aur ibaadat mein farq to hai nan
so chhin li hai teri dosti mohabbat ne


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 335) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+