Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


bosa na de gale na laga hath mat mila


bosa na de gale na lagā haath mat milā
ai yār-e-ḳhush-jamāl magar sāmne to aa

do chaar gaz ke fāsle se muskurā ke dekh
do chaar gaz ke fāsle tak aa ke lauT jā

yā ghar meñ baiTh aur mujhe tasvīr bhej de
fasl-e-vabā meñ vasl kā andāz hai judā

khiḌkī se jhāñk jhāñk ke ḳhush ho ai rū-e-ḳhush
paT khol dekh dekh ke kuchh der muskurā

guzreñ vabā ke din to baġhal-gīr hoveñge
armān zabt kar ai mire yaar tham zarā

bosa na de gale na laga hath mat mila
ai yar-e-KHush-jamal magar samne to aa

do chaar gaz ke fasle se muskura ke dekh
do chaar gaz ke fasle tak aa ke lauT ja

ya ghar mein baiTh aur mujhe taswir bhej de
fasl-e-waba mein wasl ka andaz hai juda

khiDki se jhank jhank ke KHush ho ai ru-e-KHush
paT khol dekh dekh ke kuchh der muskura

guzren waba ke din to baghal-gir howenge
arman zabt kar ai mere yar tham zara


Leave a comment

+