ārzūeñ na chhīn ḳhvāb na chhīn
merā sāmān-e-iztirāb na chhīn
sar se ummīd kā sahāb na chhīn
maiñ ki sahrā meñ huuñ sarāb na chhīn
hijr bechainī bebasī girya
ye mohabbat kā hai nisāb na chhīn
zaḳhm-e-dil kī na chārasāzī kar
mere siine kā māhtāb na chhīn
tākne de hasīn chehroñ ko
yaar mujh se mirā shabāb na chhīn
ḳhatm hone na de siyāhī-e-ġham
mere lafzoñ kī āb-o-tāb na chhīn
dard māroñ ke dard likhne de
hai yahī ik rah-e-savāb na chhīn
khojnā hai mujhe ḳhudā kā surāġh
vā.izā haath se kitāb na chhīn
aarzuen na chhin KHwab na chhin
mera saman-e-iztirab na chhin
sar se ummid ka sahab na chhin
main ki sahra mein hun sarab na chhin
hijr bechaini bebasi girya
ye mohabbat ka hai nisab na chhin
zaKHm-e-dil ki na chaarasazi kar
mere sine ka mahtab na chhin
takne de hasin chehron ko
yar mujh se mera shabab na chhin
KHatm hone na de siyahi-e-gham
mere lafzon ki aab-o-tab na chhin
dard maron ke dard likhne de
hai yahi ek rah-e-sawab na chhin
khojna hai mujhe KHuda ka suragh
waiza hath se kitab na chhin
Leave a comment