Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


agar sunani hai har qadam par nai kahani to haar mani


agar sunānī hai har qadam par na.ī kahānī to haar maanī
fareb khāte hue guzarnī hai zindagānī to haar maanī

agar mohabbat tirā ravayya hai phir parāyā to baaz aayā
agar zamāne tirī ravish hai vahī purānī to haar maanī

ham apnā jīvan ham apnī ḳhushiyāñ ham apnā sab kuchh luTā chuke haiñ
agar hai phir bhī hamārī qismat meñ rā.igānī to haar maanī

samajh rahī hai agar mohabbat ko silsila ik himāqatoñ kā
samajh rahī hai jo ḳhud ko tū is qadar siyānī to haar maanī

nahīñ batānā jo kis tanāsub se jhuuT hai saarī dāstāñ meñ
nahīñ batānā jo duudh kyā aur kyā hai paanī to haar maanī

suḳhan kī devī jo mehrbāñ ho nahīñ rahī 'iftiḳhār' 'haidar'
jo ruk rahī hai qalam kī qirtās par ravānī to haar maanī

agar sunani hai har qadam par nai kahani to haar mani
fareb khate hue guzarni hai zindagani to haar mani

agar mohabbat tera rawayya hai phir paraya to baz aaya
agar zamane teri rawish hai wahi purani to haar mani

hum apna jiwan hum apni KHushiyan hum apna sab kuchh luTa chuke hain
agar hai phir bhi hamari qismat mein raigani to haar mani

samajh rahi hai agar mohabbat ko silsila ek himaqaton ka
samajh rahi hai jo KHud ko tu is qadar siyani to haar mani

nahin batana jo kis tanasub se jhuT hai sari dastan mein
nahin batana jo dudh kya aur kya hai pani to haar mani

suKHan ki dewi jo mehrban ho nahin rahi 'iftiKHar' 'haidar'
jo ruk rahi hai qalam ki qirtas par rawani to haar mani


Leave a comment

+