qarār hote hue be-qarār ya.anī maiñ
tumhāre hijr kā ik sogvār ya.anī maiñ
vatan se duur vatan kā muqīm ya.anī tū
vatan meñ rah ke ġharīb-ud-dayār ya.anī maiñ
sarāpā kibr va sarāpā ġhurūr ya.anī tū
tire ġhurūr pe har dam nisār ya.anī maiñ
vafā-o-mehr-o-mohabbat kā naam ya.anī tū
vafā-o-mehr-o-mohabbat shi.ār ya.anī maiñ
har ik amal se mire be-niyāz ya.anī tū
niyāz-o-nazr dil-o-jāñ-guzār ya.anī maiñ
ummīd-e-āmad-e-sub.h-e-bahār ya.anī tū
aur is bahār kā umīd-vār ya.anī maiñ
suḳhan meñ taaza ḳhayāloñ kī mauj ya.anī tū
suḳhan ko bā.is-e-sad-iftiḳhār ya.anī maiñ
qarar hote hue be-qarar yani main
tumhaare hijr ka ek sogwar yani main
watan se dur watan ka muqim yani tu
watan mein rah ke gharib-ud-dayar yani main
sarapa kibr wa sarapa ghurur yani tu
tere ghurur pe har dam nisar yani main
wafa-o-mehr-o-mohabbat ka nam yani tu
wafa-o-mehr-o-mohabbat shiar yani main
har ek amal se mere be-niyaz yani tu
niyaz-o-nazr dil-o-jaan-guzar yani main
ummid-e-amad-e-subh-e-bahaar yani tu
aur is bahaar ka umid-war yani main
suKHan mein taza KHayalon ki mauj yani tu
suKHan ko bais-e-sad-iftiKHar yani main
Leave a comment