koī an-honā vāqi.a nahīñ hai
ishq mere liye nayā nahīñ hai
tujh ko har baat kā pata nahīñ hai
tū mirā ishq hai ḳhudā nahīñ hai
yuuñ nishāne na taak taak ke maar
ek hī dil hai dūsrā nahīñ hai
ye jo ham roz lafz bunte haiñ
mas.ala hai ye mashġhala nahīñ hai
toḌtā hai hudūn-e-kaun-o-makāñ
dard kā koī dā.era nahīñ hai
do kināre haiñ ek maiñ ik tū
aur kināroñ meñ fāsla nahīñ hai
koī iz.hār kī sabīl nahīñ
aag hī aag hai havā nahīñ hai
ye jo tum maut se Darāte ho
zindagī sab kā mas.ala nahīñ hai
koi an-hona waqia nahin hai
ishq mere liye naya nahin hai
tujh ko har baat ka pata nahin hai
tu mera ishq hai KHuda nahin hai
yun nishane na tak tak ke mar
ek hi dil hai dusra nahin hai
ye jo hum roz lafz bunte hain
masala hai ye mashghala nahin hai
toDta hai hudun-e-kaun-o-makan
dard ka koi daera nahin hai
do kinare hain ek main ek tu
aur kinaron mein fasla nahin hai
koi izhaar ki sabil nahin
aag hi aag hai hawa nahin hai
ye jo tum maut se Daraate ho
zindagi sab ka masala nahin hai
Leave a comment