be-ḳhabar mujh se mire dil meñ hamesha hañstā
phuul nargis kā surāhī meñ akelā hañstā
chalte chalte kahīñ ruk jaatī ye duniyā ik pal
chāñd hañstā ye havā hañstī ye sahrā hañstā
jaane kis soch meñ aatā hai guzar jaatā hai
roz ik roz mirī umr meñ hañstā hañstā
phaḌ-phaḌāte hue ḳhvāboñ ke kabūtar uḌte
der tak phir mire kamre meñ añdherā hañstā
maiñ ne tanhā.ī meñ jo us ko muḳhātab kar ke
kī haiñ bāteñ unheñ suntā to vo kitnā hañstā
be-KHabar mujh se mere dil mein hamesha hansta
phul nargis ka surahi mein akela hansta
chalte chalte kahin ruk jati ye duniya ek pal
chand hansta ye hawa hansti ye sahra hansta
jaane kis soch mein aata hai guzar jata hai
roz ek roz meri umr mein hansta hansta
phaD-phaDate hue KHwabon ke kabutar uDte
der tak phir mere kamre mein andhera hansta
main ne tanhai mein jo us ko muKHatab kar ke
ki hain baaten unhen sunta to wo kitna hansta
Source: Book : Funoon (Monthly) (Pg. 565) Author : Ahmad Nadeem Qasmi Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986) Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Leave a comment