Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Arif

  • Ghazal


KHwab-e-derina se ruKHsat ka sabab puchhte hain


ḳhvāb-e-derīna se ruḳhsat kā sabab pūchhte haiñ
chaliye pahle nahīñ pūchhā thā to ab pūchhte haiñ

kaise ḳhush-tabā haiñ is shahr-e-dil-āzār ke log
mauj-e-ḳhūñ sar se guzar jaatī hai tab pūchhte haiñ

ahl-e-duniyā kā to kyā zikr ki dīvānoñ ko
sāhibān-e-dil-e-shorīda bhī kab pūchhte haiñ

ḳhaak uḌātī huī rāteñ hoñ ki bhīge hue din
avval-e-sub.h ke ġham āḳhir-e-shab pūchhte haiñ

ek ham hī to nahīñ haiñ jo uThāte haiñ savāl
jitne haiñ ḳhāk-basar shahr ke sab pūchhte haiñ

yahī majbūr yahī mohr-ba-lab be-āvāz
pūchhne par kabhī aa.eñ to ġhazab pūchhte haiñ

karam-e-masnad-o-mimbar ki ab arbāb-e-hakam
zulm kar chukte haiñ tab marzī-e-rab pūchhte haiñ

KHwab-e-derina se ruKHsat ka sabab puchhte hain
chaliye pahle nahin puchha tha to ab puchhte hain

kaise KHush-taba hain is shahr-e-dil-azar ke log
mauj-e-KHun sar se guzar jati hai tab puchhte hain

ahl-e-duniya ka to kya zikr ki diwanon ko
sahiban-e-dil-e-shorida bhi kab puchhte hain

KHak uDati hui raaten hon ki bhige hue din
awwal-e-subh ke gham aaKHir-e-shab puchhte hain

ek hum hi to nahin hain jo uThate hain sawal
jitne hain KHak-basar shahr ke sab puchhte hain

yahi majbur yahi mohr-ba-lab be-awaz
puchhne par kabhi aaen to ghazab puchhte hain

karam-e-masnad-o-mimbar ki ab arbab-e-hakam
zulm kar chukte hain tab marzi-e-rab puchhte hain

RECITATIONS Iftikhar Arif



00:00/00:00 KHwab-e-derina se ruKHsat ka sabab puchhte hain Iftikhar Arif

Leave a comment

+