ye mo.ajiza bhī kisī kī duā kā lagtā hai
ye shahr ab bhī usī bevafā kā lagtā hai
ye tere mere charāġhoñ kī zid jahāñ se chalī
vahīñ kahīñ se ilāqa havā kā lagtā hai
dil un ke saath magar teġh aur shaḳhs ke saath
ye silsila bhī kuchh ahl-e-riyā kā lagtā hai
na.ī girah na.e nāḳhun na.e mizāj ke qarz
magar ye pech bahut ibtidā kā lagtā hai
kahāñ maiñ aur kahāñ faizān-e-naġhma-o-āhañg
karishma sab dar-o-bast-e-navā kā lagtā hai
ye moajiza bhi kisi ki dua ka lagta hai
ye shahr ab bhi usi bewafa ka lagta hai
ye tere mere charaghon ki zid jahan se chali
wahin kahin se ilaqa hawa ka lagta hai
dil un ke sath magar tegh aur shaKHs ke sath
ye silsila bhi kuchh ahl-e-riya ka lagta hai
nai girah nae naKHun nae mizaj ke qarz
magar ye pech bahut ibtida ka lagta hai
kahan main aur kahan faizan-e-naghma-o-ahang
karishma sab dar-o-bast-e-nawa ka lagta hai
RECITATIONS
Iftikhar Arif
00:00/00:00
ye moajiza bhi kisi ki dua ka lagta hai
Iftikhar Arif
Source: Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 173) Author : iftikhaar aarif Publication : Educational Publishing House (1999) Edition : 1999
Leave a comment