Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yusuf Taqi

  • Ghazal


waise to the yar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha


vaise to the yaar bahut par kisī ne mujhe pahchānā thā
tum ne bas ik samjhā mujh ko tum ne bas ik jaanā thā

tum bin sajnī jīvan apnā suunā āñgan TuuTā sapnā
dil ko tum se raah thī utnī ham ne kab ye jaanā thā

maiñ to paapī merī ḳhātir apnā sab kuchh daan kiyā kyuuñ
duniyā jaisī pyārī bastī aise chhoḌ ke jaanā thā

maut aur dil par kisī ko qaabū aa.e to apnī marzī aa.e
merī ḳhātir jaan gañvānā yaaro ek bahānā thā

maiñ ne yaaro tum se sunā thā vaqt kā marham bhar de har ġham
aglī pichhlī saarī bāteñ mujh ko bhuul hī jaanā thā

bhor kā bichhḌā sāñjh ko lauTā apne kiye par pahroñ royā
dil kī biinā TuuT ga.ī thī phir bhī tum ko gaanā thā

waise to the yar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha
tum ne bas ek samjha mujh ko tum ne bas ek jaana tha

tum bin sajni jiwan apna suna aangan TuTa sapna
dil ko tum se rah thi utni hum ne kab ye jaana tha

main to papi meri KHatir apna sab kuchh dan kiya kyun
duniya jaisi pyari basti aise chhoD ke jaana tha

maut aur dil par kisi ko qabu aae to apni marzi aae
meri KHatir jaan ganwana yaro ek bahana tha

main ne yaro tum se suna tha waqt ka marham bhar de har gham
agli pichhli sari baaten mujh ko bhul hi jaana tha

bhor ka bichhDa sanjh ko lauTa apne kiye par pahron roya
dil ki bina TuT gai thi phir bhi tum ko gana tha


Source: Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 67) Author : Yousuf Taqi Publication : Yousuf Taqi (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+