Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Ahmad khatak

  • Ghazal


kyun ke bare mein kya ke bare mein


kyuuñ ke baare meñ kyā ke baare meñ
aql chup hai ḳhudā ke baare meñ

jab sa.ūbat meñ saañs ghuTne lage
sochiye karbalā ke baare meñ

sab ko taftīsh ho rahī hogī
dūsre naqsh-e-pā ke baare meñ

ḳhāmushī saadh lī ga.ī yak dam
suḳhan-e-nā-rasā ke baare meñ

intihā ho chukī mohabbat kī
kuchh kaho ibtidā ke baare meñ

merī apnī hī ek raa.e hai
ma.anī-o-mudda.ā ke baare meñ

ham ne kyā kyā na likh diyā 'ahmad'
apnī apnī fazā ke baare meñ

kyun ke bare mein kya ke bare mein
aql chup hai KHuda ke bare mein

jab saubat mein sans ghuTne lage
sochiye karbala ke bare mein

sab ko taftish ho rahi hogi
dusre naqsh-e-pa ke bare mein

KHamushi sadh li gai yak dam
suKHan-e-na-rasa ke bare mein

intiha ho chuki mohabbat ki
kuchh kaho ibtida ke bare mein

meri apni hi ek rae hai
mani-o-muddaa ke bare mein

hum ne kya kya na likh diya 'ahmad'
apni apni faza ke bare mein


Leave a comment

+