Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Ahmad khatak

  • Ghazal


mera ham-safar kabhi wahm tha kabhi KHwab tha kabhi kya raha


mirā ham-safar kabhī vahm thā kabhī ḳhvāb thā kabhī kyā rahā
maiñ ajiib haal meñ mast thā so mirā mazāq banā rahā

mirī mushkiloñ ne ayaañ kiyā mirā yaar dost koī nahīñ
so qabīl-e-hirs-o-havās meñ maiñ akelā DaT ke khaḌā rahā

mire āshiyāñ ko jalā ga.iiñ mire ḳhaam soch kī hiddateñ
mirā sar hayā se na uTh sakā maiñ nadāmatoñ meñ paḌā rahā

tujhe faḳhr thā tire husn par mujhe zo.am thā mire ishq kā
tū paḌī rahī kisī sej par maiñ bhī gard-e-rāh banā rahā

tire lams lams se jī uThā mire sard jism kā rome rome
tū mirī galī se chalī ga.ī maiñ tirī galī meñ paḌā rahā

mire bāġh-e-dil pe ḳhizāñ rahī mirī shāḳh shāḳh ujaḌ ga.ī
mire paañv ḳhuun se tar-ba-tar mirā zaḳhm yuuñ bhī harā rahā

mera ham-safar kabhi wahm tha kabhi KHwab tha kabhi kya raha
main ajib haal mein mast tha so mera mazaq bana raha

meri mushkilon ne ayan kiya mera yar dost koi nahin
so qabil-e-hirs-o-hawas mein main akela DaT ke khaDa raha

mere aashiyan ko jala gain mere KHam soch ki hiddaten
mera sar haya se na uTh saka main nadamaton mein paDa raha

tujhe faKHr tha tere husn par mujhe zoam tha mere ishq ka
tu paDi rahi kisi sej par main bhi gard-e-rah bana raha

tere lams lams se ji uTha mere sard jism ka rome rome
tu meri gali se chali gai main teri gali mein paDa raha

mere bagh-e-dil pe KHizan rahi meri shaKH shaKH ujaD gai
mere panw KHun se tar-ba-tar mera zaKHm yun bhi hara raha


Leave a comment

+