Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Ahmad khatak

  • Ghazal


tujhse mil kar yaqin hua hai mujhe


tujh se mil kar yaqīñ huā hai mujhe
ishq ab tak nahīñ huā hai mujhe

ḳhaak hī ḳhaak hai jahāñ dekhūñ
āsmāñ bhī zamīñ huā hai mujhe

ḳhuun āñkhoñ se kyoñ nahīñ Tapkā
dard dil ke qarīñ huā hai mujhe

naqs laatā hai sāmne mere
aa.ina nukta-chīñ huā hai mujhe

ye jo ehsās-e-zindagī hai ye
shā.irī ke ta.iiñ huā hai mujhe

maiñ kaḌī dhuup meñ huuñ aur tirā dhyān
sāya-e-ambarīñ huā hai mujhe

is se pahle maiñ ḳhairiyat se thā
jo huā hai yahīñ huā hai mujhe

merī yād-dāsht kho ga.ī 'ahmad'
kyā huā kyā nahīñ huā hai mujhe

tujh se mil kar yaqin hua hai mujhe
ishq ab tak nahin hua hai mujhe

KHak hi KHak hai jahan dekhun
aasman bhi zamin hua hai mujhe

KHun aankhon se kyon nahin Tapka
dard dil ke qarin hua hai mujhe

naqs lata hai samne mere
aaina nukta-chin hua hai mujhe

ye jo ehsas-e-zindagi hai ye
shairi ke tain hua hai mujhe

main kaDi dhup mein hun aur tera dhyan
saya-e-ambarin hua hai mujhe

is se pahle main KHairiyat se tha
jo hua hai yahin hua hai mujhe

meri yaad-dasht kho gai 'ahmad'
kya hua kya nahin hua hai mujhe


Leave a comment

+