Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iffat Zarrin

  • Ghazal


be-samt raston pe sada le gai mujhe


be-samt rāstoñ pe sadā le ga.ī mujhe
aahaT magar junūñ kī bachā le ga.ī mujhe

patthar ke jism mom ke chehre dhuāñ dhuāñ
kis shahr meñ uḌā ke havā le ga.ī mujhe

māthe pe us ke dekh ke laalī sindūr kī
zaḳhmoñ kī anjuman meñ hinā le ga.ī mujhe

ḳhushbū pighalte lamhoñ kī sāñsoñ meñ kho ga.ī
ḳhushbū kī vādiyoñ meñ sabā le ga.ī mujhe

jo log bhiik dete haiñ chehre ko dekh kar
'zarrīñ' unhīñ ke dar pe anā le ga.ī mujhe

be-samt raston pe sada le gai mujhe
aahaT magar junun ki bacha le gai mujhe

patthar ke jism mom ke chehre dhuan dhuan
kis shahr mein uDa ke hawa le gai mujhe

mathe pe us ke dekh ke lali sindur ki
zaKHmon ki anjuman mein hina le gai mujhe

KHushbu pighalte lamhon ki sanson mein kho gai
KHushbu ki wadiyon mein saba le gai mujhe

jo log bhik dete hain chehre ko dekh kar
'zarrin' unhin ke dar pe ana le gai mujhe


Leave a comment

+