Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iffat Zarrin

  • Ghazal


ghabra gae hain waqt ki tanhaiyon se hum


ghabrā ga.e haiñ vaqt kī tanhā.iyoñ se ham
uktā chuke haiñ apnī hī parchhā.iyoñ se ham

saaya mere vajūd kī had se guzar gayā
ab ajnabī haiñ aap shanāsā.iyoñ se ham

ye soch kar hī ḳhud se muḳhātib rahe sadā
kyā guftugū kareñge tamāshā.iyoñ se ham

ab deñge kyā kisī ko ye jhoñke bahār ke
māñgeñge dil ke zaḳhm bhī purvā.iyoñ se ham

'zarrīñ' kyā bahāroñ ko muḌ muḌ ke dekhiye
mānūs the ḳhizāñ kī dil-āsā.iyoñ se ham

ghabra gae hain waqt ki tanhaiyon se hum
ukta chuke hain apni hi parchhaiyon se hum

saya mere wajud ki had se guzar gaya
ab ajnabi hain aap shanasaiyon se hum

ye soch kar hi KHud se muKHatib rahe sada
kya guftugu karenge tamashaiyon se hum

ab denge kya kisi ko ye jhonke bahaar ke
mangenge dil ke zaKHm bhi purwaiyon se hum

'zarrin' kya bahaaron ko muD muD ke dekhiye
manus the KHizan ki dil-asaiyon se hum


Leave a comment

+