zehn o dil ke fāsle the ham jinheñ sahte rahe
ek hī ghar meñ bahut se ajnabī rahte rahe
duur tak sāhil pe dil ke ābloñ kā aks thā
kashtiyāñ sholoñ kī dariyā mom ke bahte rahe
kaise pahuñche manziloñ tak vahshatoñ ke qāfile
ham sarāboñ se safar kī dāstāñ kahte rahe
aane vaale mausamoñ ko tāzgī miltī ga.ī
apnī fasl-e-ārzū ko ham ḳhizāñ kahte rahe
kaise miT pā.eñgī 'zarrīñ' ye hadeñ afkār kī
TuuT kar dil ke kināre duur tak bahte rahe
zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe
ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe
dur tak sahil pe dil ke aablon ka aks tha
kashtiyan sholon ki dariya mom ke bahte rahe
kaise pahunche manzilon tak wahshaton ke qafile
hum sarabon se safar ki dastan kahte rahe
aane wale mausamon ko tazgi milti gai
apni fasl-e-arzu ko hum KHizan kahte rahe
kaise miT paengi 'zarrin' ye haden afkar ki
TuT kar dil ke kinare dur tak bahte rahe
Leave a comment