agar vo mil ke bichhaḌne kā hausla rakhtā
to darmiyāñ na muqaddar kā faisla rakhtā
vo mujh ko bhuul chukā ab yaqīn hai varna
vafā nahīñ to jafāoñ kā silsila rakhtā
bhaTak rahe haiñ musāfir to rāste gum haiñ
añdherī raat meñ dīpak koī jalā rakhtā
mahak mahak ke bikhartī haiñ us ke āñgan meñ
vo apne ghar kā darīcha agar khulā rakhtā
agar vo chāñd kī bastī kā rahne vaalā thā
to apne saath sitāroñ kā qāfila rakhtā
jise ḳhabar nahīñ ḳhud apnī zaat kī 'zarrīñ'
vo dūsroñ kā bhalā kis tarah patā rakhtā
agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta
to darmiyan na muqaddar ka faisla rakhta
wo mujh ko bhul chuka ab yaqin hai warna
wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta
bhaTak rahe hain musafir to raste gum hain
andheri raat mein dipak koi jala rakhta
mahak mahak ke bikharti hain us ke aangan mein
wo apne ghar ka daricha agar khula rakhta
agar wo chand ki basti ka rahne wala tha
to apne sath sitaron ka qafila rakhta
jise KHabar nahin KHud apni zat ki 'zarrin'
wo dusron ka bhala kis tarah pata rakhta
Leave a comment